|
Aik admi nay BV ko English kay chand jumlay sikhaye
ta ke rafta rafta usay shaoq ho aur wo aur seekh jaye.
Aik din dopehr ko wo ghar tha to BV say kaha kay khana laga do.
Chand minutes baad BV nay shohar ko kaha kay DINNER laga dia hai.
Shohar BV say: dopahr kay khanay ko lunch kehtay hain aur raat kay khanay ko dinner.
BV: maloom hai, raat ka khana hai isi liye dinner ka kaha hai.
|